NAMAZ KA TARIQA
Islamaic Prayer , Namaz Salah, Namaz Salat , Islamic Prayer Timings ,
Jumma Mubarak , Mosques, timing iftar today
Bismillah'Ir'Rahman'Ir Rahim
Assalamualaikum
Aaiye Do 2 Rak'at Namaz ka Tariqa seekh lete hai
Sabse Pehle Hume Namaz ke liye Niyat karni hai Kiblah Rukh hokar aur uske baad Hume ALLAH HU AKBAR kehkar
haath baandh lene hai
Phir Sana Padhni hai jo ki screen par de rakhi hai
Sana ke baad hume Surah Fatiha yani 'ALHAMDU SHAREEF' padhni hai aur uske baad Qur'an ki koi ek Surah padhni hai
aur Phir ALLAH HU AKBAR kehkar Ruku main chale jaana hai. 'Waha Subhana Rabbi Yal Adheem' teen baar padhna hai
aur phir uthkar 'SamiALLAH Huliman Hamidah Rabbana Lak'al Hamd' kehna hai aur kehne ke baad phir se ALLAH HU AKBAR kehkar
Sajde main chale jaana hai. Waha 3 baar kam se kam Subhana Rabbi Yal Aa'la padhna hai aur phir uske baad ALLAH HU AKBAR
kehkar uth ke baith jaana hai aur phir ALLAH HU AKBAR kehkar doosra sajda isi dhang se karna hai
Yeh ho gayi hamari ek Rak'ar. Aise he do rak'ate karne ke baad "Attahiyaat" main baith jaana aur Atthaiyatu,
Saath main Durood e Ibrahimi, aur Dua jo screen par de rakhi hai " ALLAH HUMMA INNI ZALAM TU NAFSI PADHKAR"
SALAAM PHER LENA.
Salam Pehle Daaye jaanib pherenge aur Kahenge Assalamualaikum Warah Matullah aur Phir baayi Janib pherenge aur Kahenge
Assalamualaikum Warahmatullah
Aise Hamari 2 Rak'at Namaz poori hui
Video dekhne ke liye iss link par jaaye:
Jazak ALLAH khair
Comments
Post a Comment
Feel free to comment