﷽
INSHA
ALLAH, is post main hum jadu ki haqeeqat, kala jadu (black magic), voodoo ke
baare main baat karenge
Assalamualaikum!!!!
Aaj jaisa
ke muaashre main hum dekhte hai ki Kala Jadu,
Sihr aur Sifli aam ho chuka hai.
Jagah
jagah jaadugar/Sifli amal karne waale apni dukaan
lagakar baithe hue hai.
Yeh
toh kuch bhi nahi! Agar hum haqeeqat ki gehraayi main jaakar dekhe toh
Haqeeqat isse bhi zyada kadhwi aur afsosnaak hai. Kadhwi isiliye kyuki log
iss chiz par yaqeen nahi karna chahte. Sifli aur Kala jadu karne waale log
internet par bhi maujood hai jo paiso ki khaatir logo ki zindagi
barbaad karne par ek baar bhi nahi sochte aur na gaur karte.
Sasti shohrat
paane ki khaatir aur kuch chand paise banaane ki khatir Qur'an aur Shari'ah
ke khilaaf kam kiye jaate hai. Kuch chand Hadith aur Qur'an ki aayatein
main aap logo ke saamne bayan karoonga INSHA ALLAH jisse yeh waazeh ho
jaata hai ki Jadu karne waala aur Jadu karane waala dono he kaafir
hai. Ek Hadith yeh bhi kehti hai ki jo aurat apne ghar ke kisi fareeq par
Sihr/KalaJadu/Sifli karati hai, uss aurat ka nikaah toot jaata hai.
ALLAH
(S.W.T.) se dua hai ki ALLAH(S.W.T.) hume iss khabees tareen gunaah se
door rakhe. Agar koi Musalmaan Jaadu/Nazar-e-bad/Sifli/Sihr main yaqeen
nahi karta hai, toh woh Qur'an ki aayaton ko jhuthla raha hai aur Rasool
ALLAH (S.A.W.) ki Sahih Hadith ko bhi jhuthla raha hai, aur Qur'an/Sahih
Hadith ka munkir Kaafir hai.
Rasool
ALLAH (S.A.W.) par bhi ek yahoodi ne Jadu kar diya tha aur Jibraeel(Gabriel)
ne Khwaab main aakar uss dhaage ke baare main Rasool ALLAH ko bataya tha
aur Rasool ALLAH uss dhaage main bandhe Girho ko kholte hue aur Surah
Falaq aur Surah Naas padhte gaye. Yeh woh bhi waqt tha jab
MUHAMMAD(S.A.W.) par Surah Falaq aur Surah Naas naazil hui thi.
Lihaaza,
Jaadu/Sifli/Sihr woh Haqeeqat hai jise na toh koi jhuthla sakta aur na
jhutlaane ki daleel laa sakta hai.
- Jaadu/Sihr ki Qisme:
Jadu/Sihr
kai tarah ke hote hai jinko ek he tehreer main bayaan nahi kiya jaa sakta...
Balki aane waale articles main INSHA ALLAH main zaroor alag alag Jaadu ko
alag tarah se bayan karoonga.
Ek Jaadu
mehez aam Jaadu hota hai jisko hum aam zabaan main haath ki safaai kehte
hai.
Aisa
Jaadu khatarnaak nahi hai. Balki bas ek tarah ki skill aur haath ki safai hai
aur hum dekhte hai umooman log circus/melo/urs main iss tarah ki haath ki
safaai ka istemaal karte hai logo ko hasaane ke liye. Doosre Qism ka Jadu
insaan ko Jismani taur par (physically) bhi Nuqsaan pahunchata hai aur
Roohaniat ko bhi Nuqsaan pahunchata hai... Yeh Jaadu kala Jadu/Sifli/Sihr
hota hai... Har mazhab main Jaadu ke baare main bataya gaya hai.
Kala Jadu/Sifli/Sihr
Hazrat Suleiman (A.S.) ke daur se shuru hua. Baabil (Babylon) se yeh shuru hua
aur duniya main baaqi logo ne bhi ise apne maqsad ke liye istemaal kiya
aur karaya. Jaadu ki Qismo ke baare main aane waali mazeed posts main
INSHA ALLAH bataya jaayega.
- Kala Jadu/Sihr/Sifli amal ho
jaane ke Nishanaat (Kaise pata chalega ki aap par kisi ne Jaadu/Sifli/Sihr
kara diya hai?)
- Insaan
Namaz aur Qur'an ki tilawat se door ho jaata hai.
- Insaan
behaya ban jaata hai.
- Insaan
ko raat main ajeeb aur darawne Khwaab aate hai. Umooman khwab main kaali
chize nazar aati hai.
- Insaan
sahi aur galat ki tameez dheere dheere bhoolne lagta hai.
- Insaan
gunaaho ko gunaah nahi samajhta
- Insaan
jo kaam karta hai woh bigadh jaata hai. Jis kaam main haath daalta hai woh
bigadh jaata hai
- Insaan
ka mann dheere dheere har acche kaam se aur one roz karta ke kaano se
hatne lagta hai.
- Insaan
depression main mubtila ho jaata hai
- Insaan
ke bewajh dushman banne lagte hai. Insaan ko khabar bhi nahi hoti aur na
gumaan hota hai aur uske dushman bina wjah zaahir hone lagte hai
- Rishton
main kharabi aane lagti hai.. Rishte tootna shuru ho jaate hai. Insaan ki
gharwaalo se nahi banti, biwi se nahi banti, aur toh aur ulaad se bhi nahi
banti.Talaq tak bhi naubat pahunch jaati hai
- Insan
ko alag alag tarah ke chalaave pesha aate hai.
- Insaan
ko samajh nahi aata uske saath ho kya raha hai aur insaan depression ka
shikar ho jaata hai.
- Sex
karne ki khwahishat main bhi izaafa hota hai( jismani khwahishat zor
maatte hai).
- Ladhko
main mani (sperm) ka khaarij hona jisko hum premature ejaculation bhi
kehte hai, yeh bhi hota hai. Ladhkio ke yaa toh periods ruk jaate hai ya
bahut jaldi jaldi hote hai. Ladhke ladhkiyan jinke upar Jaadu hua hai
jaldi discharge ho jaate hai.
- Jism
main bhaaripan rehta hai, badan bhaari rehta hai, sir main dard rehta hai,
aankho main bojh hota hai...
Iske
alawa bhi aur bhi bahut saari Jaadu ho jaane ki indication hai. Jaadu ho jaane
ki itni nishaanyan hai hai ki woh mehaz ek article main bayan nahi ki jaa
sakti.
Aaiye deh
lete hai Qur'an aur Hadees Jadu ke bare main Kya kehta hai!
- SIHR (KALA JADU) QUR'AN AUR
HADEES KI ROSHNI MAIN:
إِنَّآ ءَامَنَّا بِرَبِّنَا لِيَغْفِرَ لَنَا خَطَـٰيَـٰنَا وَمَآ
أَكْرَهْتَنَا عَلَيْهِ مِنَ ٱلسِّحْرِ ۗ وَٱللَّهُ خَيْرٌۭ وَأَبْقَىٰٓ
Indeed, we have believed in our Lord that He may
forgive us our sins and what you compelled us [to do] of magic. And Allah is
better and more enduring.”
إِنَّهُۥ
مَن يَأْتِ رَبَّهُۥ مُجْرِمًۭا فَإِنَّ لَهُۥ جَهَنَّمَ لَا يَمُوتُ فِيهَا وَلَا
يَحْيَىٰ
Indeed, whoever
comes to his Lord as a criminal – indeed, for him is Hell; he will neither die
therein nor live.
- Al Qur'an (Ch20,
v73-74)
وَٱتَّبَعُوا۟ مَا تَتْلُوا۟ ٱلشَّيَٰطِينُ عَلَىٰ مُلْكِ سُلَيْمَٰنَ ۖ
وَمَا كَفَرَ سُلَيْمَٰنُ وَلَٰكِنَّ ٱلشَّيَٰطِينَ كَفَرُوا۟ يُعَلِّمُونَ
ٱلنَّاسَ ٱلسِّحْرَ وَمَآ أُنزِلَ عَلَى ٱلْمَلَكَيْنِ بِبَابِلَ هَٰرُوتَ
وَمَٰرُوتَ ۚ وَمَا يُعَلِّمَانِ مِنْ أَحَدٍ حَتَّىٰ يَقُولَآ إِنَّمَا نَحْنُ
فِتْنَةٌ فَلَا تَكْفُرْ ۖ فَيَتَعَلَّمُونَ مِنْهُمَا مَا يُفَرِّقُونَ بِهِۦ بَيْنَ
ٱلْمَرْءِ وَزَوْجِهِۦ ۚ وَمَا هُم بِضَآرِّينَ بِهِۦ مِنْ أَحَدٍ إِلَّا
بِإِذْنِ ٱللَّهِ ۚ وَيَتَعَلَّمُونَ مَا يَضُرُّهُمْ وَلَا يَنفَعُهُمْ ۚ
وَلَقَدْ عَلِمُوا۟ لَمَنِ ٱشْتَرَىٰهُ مَا لَهُۥ فِى ٱلْءَاخِرَةِ مِنْ خَلَٰقٍ ۚ
وَلَبِئْسَ مَا شَرَوْا۟ بِهِۦٓ أَنفُسَهُمْ ۚ لَوْ كَانُوا۟ يَعْلَمُونَ
And they followed
[instead] what the devils had recited during the reign of Solomon. It was not
Solomon who disbelieved, but the devils disbelieved, teaching people magic and
that which was revealed to the two angels at Babylon, Harut and Marut. But the
two angels do not teach anyone unless they say, “We are a trial, so do not
disbelieve [by practicing magic].”
And [yet] they learn
from them that by which they cause separation between a man and his wife. But
they do not harm anyone through it except by permission of Allah . And the
people learn what harms them and does not benefit them. But the Children of
Israel certainly knew that whoever purchased the magic would not have in the
Hereafter any share. And wretched is that for which they sold themselves, if
they only knew.
- Al Qur'an (Ch2, v102)
أَخْبَرَنَا عَمْرُو بْنُ عَلِيٍّ، قَالَ حَدَّثَنَا
أَبُو دَاوُدَ، قَالَ حَدَّثَنَا عَبَّادُ بْنُ مَيْسَرَةَ الْمِنْقَرِيُّ، عَنِ
الْحَسَنِ، عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ، قَالَ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه
وسلم " مَنْ عَقَدَ عُقْدَةً ثُمَّ نَفَثَ فِيهَا فَقَدْ سَحَرَ وَمَنْ
سَحَرَ فَقَدْ أَشْرَكَ وَمَنْ تَعَلَّقَ شَيْئًا وُكِّلَ إِلَيْهِ " .
It was narrated that Abu Hurairah
said: "The Messenger of Allah [SAW] said: 'Whoever ties a know and blows
on it, he has practiced magic; and whoever practices magic, he has committed
Shirk; and whoever hangs up something (as an amulet) will be entrusted to it.
- Sunan an-Nasa'i (4079)
حَدَّثَنَا إِبْرَاهِيمُ بْنُ مُنْذِرٍ، حَدَّثَنَا
أَنَسُ بْنُ عِيَاضٍ، عَنْ هِشَامٍ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ عَائِشَةَ ـ رضى الله عنها
أَنَّ رَسُولَ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم طُبَّ حَتَّى إِنَّهُ لَيُخَيَّلُ
إِلَيْهِ قَدْ صَنَعَ الشَّىْءَ وَمَا صَنَعَهُ، وَإِنَّهُ دَعَا رَبَّهُ ثُمَّ
قَالَ " أَشَعَرْتِ أَنَّ اللَّهَ قَدْ أَفْتَانِي فِيمَا اسْتَفْتَيْتُهُ
فِيهِ ". فَقَالَتْ عَائِشَةُ فَمَا ذَاكَ يَا رَسُولَ اللَّهِ قَالَ
" جَاءَنِي رَجُلاَنِ فَجَلَسَ أَحَدُهُمَا عِنْدَ رَأْسِي، وَالآخَرُ
عِنْدَ رِجْلَىَّ فَقَالَ أَحَدُهُمَا لِصَاحِبِهِ مَا وَجَعُ الرَّجُلِ قَالَ
مَطْبُوبٌ. قَالَ مَنْ طَبَّهُ قَالَ لَبِيدُ بْنُ الأَعْصَمِ. قَالَ فِيمَا
ذَا قَالَ فِي مُشْطٍ وَمُشَاطَةٍ وَجُفِّ طَلْعَةٍ. قَالَ فَأَيْنَ هُوَ قَالَ
فِي ذَرْوَانَ، وَذَرْوَانُ بِئْرٌ فِي بَنِي زُرَيْقٍ ". قَالَتْ
فَأَتَاهَا رَسُولُ اللَّهِ صلى الله عليه وسلم ثُمَّ رَجَعَ إِلَى عَائِشَةَ
فَقَالَ " وَاللَّهِ لَكَأَنَّ مَاءَهَا نُقَاعَةُ الْحِنَّاءِ،
وَلَكَأَنَّ نَخْلَهَا رُءُوسُ الشَّيَاطِينِ ". قَالَتْ فَأَتَى رَسُولُ
اللَّهِ صلى الله عليه وسلم فَأَخْبَرَهَا عَنِ الْبِئْرِ، فَقُلْتُ يَا رَسُولَ
اللَّهِ فَهَلاَّ أَخْرَجْتَهُ قَالَ " أَمَّا أَنَا فَقَدْ شَفَانِي
اللَّهُ، وَكَرِهْتُ أَنْ أُثِيرَ عَلَى النَّاسِ شَرًّا ". زَادَ عِيسَى
بْنُ يُونُسَ وَاللَّيْثُ عَنْ هِشَامٍ عَنْ أَبِيهِ عَنْ عَائِشَةَ قَالَتْ سُحِرَ
النَّبِيُّ صلى الله عليه وسلم فَدَعَا وَدَعَا وَسَاقَ الْحَدِيثَ
Narrated `Aisha:
that Allah's Messenger (ﷺ) was affected by
magic, so much that he used to think that he had done something which in fact,
he did not do, and he invoked his Lord (for a remedy). Then (one day) he said,
"O `Aisha!)
Do you know that Allah has advised me as to
the problem I consulted Him about?" `Aisha said, "O Allah's Messenger
(ﷺ)! What's that?" He said, "Two
men came to me and one of them sat at my head and the other at my feet, and one
of them asked his companion, 'What is wrong with this man?'
The latter replied,
'He is under the effect of magic.' The former asked, 'Who has worked magic on
him?' The latter replied, 'Labid bin Al-A'sam.' The former asked, 'With what
did he work the magic?'
The latter replied,
'With a comb and the hair, which are stuck to the comb, and the skin of pollen
of a date-palm tree.' The former asked, 'Where is that?' The latter replied,
'It is in Dharwan.' Dharwan was a well in the dwelling place of the (tribe of)
Bani Zuraiq. Allah's Messenger (ﷺ) went to that well
and returned to `Aisha, saying, 'By Allah, the water (of the well) was as red
as the infusion of Hinna, (1) and the date-palm trees look like the heads of
devils.'
Aisha added, Allah's
Messenger (ﷺ) came to me and informed me about the
well. I asked the Prophet, 'O Allah's Messenger (ﷺ),
why didn't you take out the skin of pollen?' He said, 'As for me, Allah has
cured me and I hated to draw the attention of the people to such evil (which
they might learn and harm others with).'
" Narrated
Hisham's father: `Aisha said, "Allah's Messenger (ﷺ) was bewitched, so he invoked Allah repeatedly requesting Him
to cure him from that magic)." Hisham then narrated the above
narration.
- Hadith No. 658, Vol. 7
- Sahih al-Bukhari
(6391)
"Jaadu ke baare
main Mazeed aap logo ko aane waali posts main bataya jaayega.... Aur kaise iska
ilaaj karna hai, kis aamil se ilaaj karaana hai, iski poori gehraaiyon main
INSHA ALLAH aapko lekar jaaunga."
Iss article ko aap
logo se guzaarish hai apne dost, ahbaab, rishtedaaro main zyada se zyada share
kare aur mujhe comments main zaroor bataye kya aapko kabhi jaadu hua hai ya
upar jo maine conditions batayi hai, aapko kabhi aisa kuch hua hai....
ALLAH hum sabka khaatma
DEEN-E-ISLAM par kare....
Article written by:
AAMIR ARAFAT
TAGS/KEYWORDS:
#blackmagic #Jadu #Sihr #Sifli
#Voodoo #Qur'an #Hadith #SahihHadith #Rumi #ISLAM #ISLAMICSTORIES #QURANSTORIES
#JADU KI HAQEEQAT #SIHRKIHAQEEQAT #Jadukaillaaj #Jaadu/Sifli/SihrkiHaqeeqataurIlaaj
Iqrakitab.com #ayeina.com #theproductivemuslim #islamonweb
blackmagic Jaadu Sihr Sifli Voodoo
Qur'an Hadith Sahih Hadith Rumi ISLAM ISLAMICSTORIES QUR'AN STORIES JADU KI
HAQEEQAT SIHR KI HAQEEQAT Jadu ka illaaj Jaadu/Sifli/Sihr ki
Haqeeqat aur Ilaaj Iqrakitab.com ayeina.com theproductivemuslim islamonweb islamsufism4u
black magic, Kala Jadu, Sihr,
Sifli, Voodoo, Qur'an, Hadith, Sahih Hadith, Rumi, ISLAM, ISLAMICSTORIES,
QUR'AN STORIES, JADU KI HAQEEQAT, SIHR KI HAQEEQAT, Jadu ka illaaj, Kala Jadu/Sifli/Sihr ki
Haqeeqat aur Ilaaj, Iqrakitab.com, ayeina.com theproductivemuslim, islamonweb, islamsufism4u
Comments
Post a Comment
Feel free to comment