Skip to main content

Posts

Showing posts from June, 2023

NAMAZ KA TARIQA

NAMAZ KA TARIQA  Islamaic Prayer , Namaz Salah, Namaz Salat , Islamic Prayer Timings ,  Jumma Mubarak , Mosques, timing iftar today Bismillah'Ir'Rahman'Ir Rahim Islamic Prayer Assalamualaikum Aaiye Do 2 Rak'at Namaz ka Tariqa seekh lete hai  Sabse Pehle Hume Namaz ke liye Niyat karni hai Kiblah Rukh hokar aur uske baad Hume ALLAH HU AKBAR kehkar haath baandh lene hai Phir Sana Padhni hai jo ki screen par de rakhi hai Sana ke baad hume Surah Fatiha yani 'ALHAMDU SHAREEF' padhni hai aur uske baad Qur'an ki koi ek Surah padhni hai aur Phir ALLAH HU AKBAR kehkar Ruku main chale jaana hai. 'Waha Subhana Rabbi Yal Adheem' teen baar padhna hai  aur phir uthkar 'SamiALLAH Huliman Hamidah Rabbana Lak'al Hamd' kehna hai aur kehne ke baad phir se ALLAH HU AKBAR kehkar  Sajde main chale jaana hai. Waha 3 baar kam se kam Subhana Rabbi Yal Aa'la padhna hai aur phir uske baad ALLAH HU AKBAR kehkar uth ke baith jaana hai aur phir ALLAH HU AKBAR kehka...

WUZU (WUDHU) KE FARZ

WUZU (WUDHU) KE FARZ   Wuzu (Wudhu) ke Farz Bismilah'Ir'Rahman'Ir'Rahim Assalamualaikum Aaiye Kuch Wuzu (Wudhu) ke zaroori Farz par Baat kar lete hai. Yaad rahe ki yeh Farz hai aur  isme woh chize jo sunnatein hai woh choot sakti hai. Sabse pehla Farz : Chehre ko peshani ke baalo se thodhi tak dhona hai aur jaha se sir ke baal shuru hote hai  waha se hume shuruaat karni hai aur thodhi tak  paani ko lekar jaana hai. Doora Farz: Dono haatho ko Kohnio tak thik se dhona hai. Teesra Farz: Dursustgi ke saath Ek chothaai sir ka masaa karna hai jaisa ke dikhaya jaa raha hai. Chotha Farz: Dono Pairo ko pindlio tak thik se dhona hai. Video ka link Niche de rakha hai taaki mazeed aap dekh kar tariqa seekh sake https://youtube.com/shorts/KgHQcDoApfw?feature=share Jazak ALLAH