Shaddad ek bahut ameer Badshah tha jisne ALLAH ki jannat banaane ki koshish ki lekin ALLAH bhi Al Ahad hai aur uske jaisa koi nahi.
Shaddad aur uski Jannat ke baare main thodhi si maaloomaat Quran ke andar milti hai.
Shaddad shuru se koi ameer baap ka beta nahi tha balki woh ek yateem tha jisko Raah chalte Musafir miya biwi ne uthaya aur apni aulaad ka darja diya tha.
ALLAH ne ek baar Hazrat Israel se sawal kiya ki ae Israel, tujhe kabhi taqleef mehsoos hui Rooh nikaalte hue kisi shakhs ki.
Israel bole mujhe do baar bahut taqleef mehsoos hui Rooh Qabz karne main lekin meri majboori thi Rooh ko kabz karna.
Shaddad ki maa chal basi thi jab Shadad paida hua tha.
Shaddad ka koi saathi ya paalne waala nahi tha uss waqt ALLAH(S. W. T.) Ke siwa aur usko do miya biwi apne saath ghar le gaye aur usko apni aulaad ka darja diya.
Shaddad ka koi saathi ya paalne waala nahi tha uss waqt ALLAH(S. W. T.) Ke siwa aur usko do miya biwi apne saath ghar le gaye aur usko apni aulaad ka darja diya.
Shaddad bachpan se he ek hoshiyar aur ek be had chalaak baccha tha aur uske maa baapo ko uss par fakhr tha.
Ek baar jab Baadshah ki sawaari raaste se jaa rahi thi toh Badshah apni daulat logo main phaikta hua jaa raha tha.
Ek baar jab Baadshah ki sawaari raaste se jaa rahi thi toh Badshah apni daulat logo main phaikta hua jaa raha tha.
Raaste main jab Badsha ne soorma pheka toh logo ne socha ki iss surme ko Shaddad ke upar istemaal karke dekhtd hai.
Jab woh soorma Shaddad ke upar istemaal kiya gaya, toh Shaddad ki Aankhein aur Roshan ho gayi aur usko zameen main chupe khazaane zaahir ho gaye aur usne Naa bina hone ka naatak kiya aur Badshah se unn logo ki Shikayat ki jinhone uski aankhon main soorma lagaya tha.
Baad main woh saara gadha hua khazan nikaal leta hai.Aur phir woh ek ameer badsha ban jaata hai.
Shaddad ek accha aadmi tha lekin woh bahut ghamandi aur takabbur waala bhi tha jo ALLAH ke nazdeek sabse bura hai aur na jaaiz hai.
Woh sarkashi karne laga aur Deen se Hatkar chalne laga.
Ulemao ne use samjhaya lekin woh nahi maana aur usne Ulemao se Jannat ke baare main Daryaft kiya ki batao Jannat kaisi hoti hai.
Ulemao ne Jannat ke baare main bataya aur shaddad ne thaan li ki main bhi jannat banaunga aur isse behtar Jannat banaunga. Log use Shaddad ki Jannat samjhenge.
Jaise ulemao ne use Jannat ke baare main bataya tha, aur ALLAH ki Jannat ki khoobiyan batayi thi, usi hisaab se aur usse bhi badhkar usne Jannat banaane ki thaan li.
Usne Jannat banane ka kaam chalu kar diya aur Laakho mazdoor kaam par laga diye.
Usne uss Jannat main Sone chandi ke mehal tayyar karaaye, Yaqoot aur neelam ki chat tayyar karaayi, nehare nikalwaayi, Hawaao main Khushboo phailwayi aur unko zyada se zyada Khushboodaar banae ki koshish ki gayi.
Usne bahut umeed se uss Jannat ko tayyar kiya.
Kai saalo ke baad jab uski Jannat tayyar hui, toh woh apni Jannat ko dekhne ke liye Gaya.
Shaddad Ki Jannat |
Shaddad Ki Jannat |
Shaddad Ki Jannat |
Shaddad Ki Jannat |
Jaise he woh apni tayyar karwayi hui Jannat ke gate ke paas pahucha he tha,
Woh apna pair neeche rakhne he waala hota hai, ki ek shakhs usko apni Banayi hui Jannat ke paas khadha dikhaayi deta hai.
Woh usse poochta hai, tu kaun hai.
Woh kehta hai main Israel(Maut ka farishta) hu, aur Huqum hai ALLAH ka ki main teri jaan nikaalu.
Woh Kehta hai ki ek baar mujhe meri jannat toh dekh lene do.
Woh kehnta hai ki ALLAH ka Huqm nahi hai.
Aur woh Shaddad ki jaan kheech kar le jaata hai aur ek Aawaz maarta hai jisse saari Jannat aisi ki aisi Zameen main mil jaati hai.
Israel(A. S.) ALLAH se Kehte hai Ek baar unhe tab taqleef hui, jab ek Haamila aurat ek bacche ko janm dene waali thi aur ALLAH apka Huqm tha uss maa ki rooh Qabz karne ka.
Woh bechara naya baccha tanha akela wahi reh gaya.
Aur ek baar tab taqleef hui jab ek badshah ne bahut mehnat se ek Jannat duniya main banane ki koshish ki aur woh apni Jannat ko dekh bhi nahi paaya.
Kitne armaan se usne uss Jannat (Jannah) ko banaya hoga aur Kitna armaan hoga uska apni Jannat ko dekhne ka.
ALLAH(S.W.T.) ne kaha ki jis badshah ki tum baat kar rahe ho Israel yeh usi Haamila aurat ka baccha tha jiski tune rooh Qabz ki thi aur tu usko akela chodh gaya tha.
Beshak ALLAH taqabbur aur sarkashi karne waalo ko pasand nahi farmata.
Iss Waaqiye se hume pata chalta hai ki hume Taqabbur nahi karna chahiye.
Iss Waaqiye se hume pata chalta hai ki hume Taqabbur nahi karna chahiye.
Aur Yaad karo jab hum (ALLAH) ne Farishton ko hukm diyaa ki Aadam Ko Sajda
karo to sab ne Sajda kiya siwaaye Iblis ke Munkir huwa aur Guroor kiya
aur Kaafir Ho gaya.
karo to sab ne Sajda kiya siwaaye Iblis ke Munkir huwa aur Guroor kiya
aur Kaafir Ho gaya.
- (Al-Bakrah, 34 - Kanzool Eman)
NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM farmatey hai ki TAKABBUR haq ki MUKHALIFAT aur logou ko HAKEER jaan ne ka naam hai.
...
- [Sahih Muslim, Kitabul Iman, Baab: Tahrimul kabir, Hadith 91]
...
- [Sahih Muslim, Kitabul Iman, Baab: Tahrimul kabir, Hadith 91]
ALLAH hume aur aapko Taqabbur se mehfooz rakhe.
آمین
Comments
Post a Comment
Feel free to comment